jaun main us nigar par qurban
jā.ūñ maiñ us nigār par qurbān
us salone siñgār par qurbān
jin dilāñ ke dalāñ kuuñ dil bhanjan
sar mirā us savār par qurbān
jin dhatūrā de dil churā.ī mirā
us daġhābāz naar par qurbān
jag munje boltā ki tū gyānī
kī huā us gañvār par qurbān
munjh se āshiq kuuñ bul-havas kahte
ishq ke kārobār par qurbān
dil-barāñ kī to dostī ma.alūm
āshiqāñ ke qarār par qurbān
yak balā duur dūsrī ban kā
'bahrī' apnī bahār par qurbān
jaun main us nigar par qurban
us salone singar par qurban
jin dilan ke dalan kun dil bhanjan
sar mera us sawar par qurban
jin dhatura de dil churai mera
us daghabaz nar par qurban
jag munje bolta ki tu gyani
ki hua us ganwar par qurban
munjh se aashiq kun bul-hawas kahte
ishq ke karobar par qurban
dil-baran ki to dosti malum
aashiqan ke qarar par qurban
yak bala dur dusri ban ka
'bahri' apni bahaar par qurban
- Kulliyat-e-Behri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.