jab aaftab ki aag is zamin ko chaTegi
jab āftāb kī aag is zamīñ ko chāTegī
makāñ kī khoj meñ saḌkoñ pe bhiiḌ bhāgegī
maiñ dekhtā hī rahūñgā tire sarāpā ko
jab aañkh so.egī merī nigāh jāgegī
jo Das rahī hai abhī jāgtī nigāhoñ kī
saverā hote hī vo raat zahr khā.egī
jo sonā chāho to darvāze band kar lenā
khulā rahegā ye kamra to dhuup jhāñkegī
laboñ pe niiñd kā ġhalbe agar huā 'shāriq'
yaqīñ hai mere qalam kī zabān jāgegī
jab aaftab ki aag is zamin ko chaTegi
makan ki khoj mein saDkon pe bhiD bhagegi
main dekhta hi rahunga tere sarapa ko
jab aankh soegi meri nigah jagegi
jo Das rahi hai abhi jagti nigahon ki
sawera hote hi wo raat zahr khaegi
jo sona chaho to darwaze band kar lena
khula rahega ye kamra to dhup jhankegi
labon pe nind ka ghalbe agar hua 'shaariq'
yaqin hai mere qalam ki zaban jagegi
- Book : عکس بر عکس (Pg. 80)
- Author : شارق جمال
- Publication : شاہد پریس ناگپور (1986)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.