jab aaina koi dekho ek ajnabi dekho
jab ā.īna koī dekho ik ajnabī dekho
kahāñ pe laa.ī hai tum ko ye zindagī dekho
mohabbatoñ meñ kahāñ apne vāste fursat
jise bhī chāhe vo chāhe mirī ḳhushī dekho
jo ho sake to ziyāda hī chāhnā mujh ko
kabhī jo merī mohabbat meñ kuchh kamī dekho
jo duur jaa.e to ġham hai jo paas aa.e to dard
na jaane kyā hai vo kambaḳht aadmī dekho
ujālā to nahīñ kah sakte is ko ham lekin
zarā sī kam to huī hai ye tīrgī dekho
jab aaina koi dekho ek ajnabi dekho
kahan pe lai hai tum ko ye zindagi dekho
mohabbaton mein kahan apne waste fursat
jise bhi chahe wo chahe meri KHushi dekho
jo ho sake to ziyaada hi chahna mujh ko
kabhi jo meri mohabbat mein kuchh kami dekho
jo dur jae to gham hai jo pas aae to dard
na jaane kya hai wo kambaKHt aadmi dekho
ujala to nahin kah sakte is ko hum lekin
zara si kam to hui hai ye tirgi dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.