jab aankh us sanam se laDi tab KHabar paDi
jab aañkh us sanam se laḌī tab ḳhabar paḌī
ġhaflat kī gard dil se jhaḌī tab ḳhair paḌī
pahle ke jaam meñ na huā kuchh nasha to aah
dilbar ne dī tab us se kaḌī tab ḳhabar paḌī
laa.e the ham to 'umr paTā yaañ likhā vale
jab siyāhī par safedī chaḌī tab ḳhabar paḌī
dāḌheñ lagīñ ukhaḌne ko dandāñ hue shahīd
majlis meñ chal-ba-chal ye paḌī tab ḳhabar paḌī
bin daañt bhī hañse pa jab āñkheñ chalīñ to aah!
jab laagī āñsuon kī jhaḌī tab ḳhabar paḌī
shahtīr sā vo qad thā so ḳham ho ke jhuk gayā
girne lagī kaḌī pe kaḌī tab ḳhabar paḌī
nīchā dikhāyā sher ne to bhī ye samjhe jhuuT
jab chaab lī gale kī naḌī tab ḳhabar paḌī
jab aa.e us gaḌhe meñ 'nazīr' aur hazār man
uupar se aa ke ḳhaak paḌī tab ḳhabar paḌī
jab aankh us sanam se laDi tab KHabar paDi
ghaflat ki gard dil se jhaDi tab KHair paDi
pahle ke jam mein na hua kuchh nasha to aah
dilbar ne di tab us se kaDi tab KHabar paDi
lae the hum to 'umr paTa yan likha wale
jab siyahi par safedi chaDi tab KHabar paDi
daDhen lagin ukhaDne ko dandan hue shahid
majlis mein chal-ba-chal ye paDi tab KHabar paDi
bin dant bhi hanse pa jab aankhen chalin to aah!
jab lagi aansuon ki jhaDi tab KHabar paDi
shahtir sa wo qad tha so KHam ho ke jhuk gaya
girne lagi kaDi pe kaDi tab KHabar paDi
nicha dikhaya sher ne to bhi ye samjhe jhuT
jab chab li gale ki naDi tab KHabar paDi
jab aae us gaDhe mein 'nazir' aur hazar man
upar se aa ke KHak paDi tab KHabar paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.