jab aansuon ke bharose ka zikr chalta hai
jab āñsuoñ ke bharose kā zikr chaltā hai
bichhaḌte vaqt bhī takiye kā zikr chaltā hai
galī meñ log haiñ aur un meñ ek maiñ bhī huuñ
aur ik makān ke taale kā zikr chaltā hai
kisī bhī baat ko sanjīdgī se kyā lenā
abhī to aap ke naḳhre kā zikr chaltā hai
hañsī kī baat chalī aur ḳhvāb TuuT gayā
lahū ke zikr se lāshe kā zikr chaltā hai
hamārī maut kā baa.is thī ek gumnāmī
so har zabān pe katbe kā zikr chaltā hai
jab aansuon ke bharose ka zikr chalta hai
bichhaDte waqt bhi takiye ka zikr chalta hai
gali mein log hain aur un mein ek main bhi hun
aur ek makan ke tale ka zikr chalta hai
kisi bhi baat ko sanjidgi se kya lena
abhi to aap ke naKHre ka zikr chalta hai
hansi ki baat chali aur KHwab TuT gaya
lahu ke zikr se lashe ka zikr chalta hai
hamari maut ka bais thi ek gumnami
so har zaban pe katbe ka zikr chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.