jab agle sal yahi waqt aa raha hoga
jab agle saal yahī vaqt aa rahā hogā
ye kaun jāntā hai kaun kis jagah hogā
tū mere sāmne baiThā hai aur maiñ sochtā huuñ
ki aa.e lamhoñ meñ jiinā bhī ik sazā hogā
ham apne apne bakheḌoñ meñ phañs chuke hoñge
na tujh ko merā na mujh ko tirā patā hogā
yahī jagah jahāñ ham aaj mil ke baiThe haiñ
isī jagah pe ḳhudā jaane kal ko kyā hogā
yahī chamakte hue pal dhuāñ dhuāñ hoñge
yahī chamaktā huā dil bujhā bujhā hogā
lahū rulā.egā vo dhuup chhāñv kā manzar
nazar uThā.ūñgā jis samt jhuTpuTā hogā
bichhaḌne vaale tujhe dekh dekh sochtā huuñ
tū phir milegā to kitnā badal chukā hogā
jab agle sal yahi waqt aa raha hoga
ye kaun jaanta hai kaun kis jagah hoga
tu mere samne baiTha hai aur main sochta hun
ki aae lamhon mein jina bhi ek saza hoga
hum apne apne bakheDon mein phans chuke honge
na tujh ko mera na mujh ko tera pata hoga
yahi jagah jahan hum aaj mil ke baiThe hain
isi jagah pe KHuda jaane kal ko kya hoga
yahi chamakte hue pal dhuan dhuan honge
yahi chamakta hua dil bujha bujha hoga
lahu rulaega wo dhup chhanw ka manzar
nazar uThaunga jis samt jhuTpuTa hoga
bichhaDne wale tujhe dekh dekh sochta hun
tu phir milega to kitna badal chuka hoga
- Book : Ghazalistaan (Pg. 212)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.