jab apne etiqad ke mehwar se haT gaya
jab apne e'tiqād ke mehvar se haT gayā
maiñ reza reza ho ke harīfoñ meñ baT gayā
dushman ke tan pe gaaḌ diyā maiñ ne apnā sar
maidān-e-kār-zār kā pāñsa palaT gayā
thoḌī sī aur zaḳhm ko gahrā.ī mil ga.ī
thoḌā sā aur dard kā ehsās ghaT gayā
darpesh ab nahīñ tirā ġham kaise maan luuñ
kaisā thā vo pahāḌ jo raste se haT gayā
apne qarīb pā ke mo.attar sī āhaTeñ
maiñ bār-hā sanaktī havā se lipaT gayā
jo bhī milā safar meñ kisī peḌ ke tale
aaseb ban ke mujh se vo saayā chimaT gayā
luTte hue avaam ke ghar-bār dekh kar
ai shahryār terā kaleja na phaT gayā
rakkhegā ḳhaak rabt vo is kā.enāt se
jo zarra apnī zaat ke andar simaT gayā
choroñ kā ehtisāb na ab tak huā 'qatīl'
jo haath be-qusūr thā vo haath kaT gayā
jab apne e'tiqad ke mehwar se haT gaya
main reza reza ho ke harifon mein baT gaya
dushman ke tan pe gaD diya main ne apna sar
maidan-e-kar-zar ka pansa palaT gaya
thoDi si aur zaKHm ko gahrai mil gai
thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya
darpesh ab nahin tera gham kaise man lun
kaisa tha wo pahaD jo raste se haT gaya
apne qarib pa ke moattar si aahaTen
main bar-ha sanakti hawa se lipaT gaya
jo bhi mila safar mein kisi peD ke tale
aaseb ban ke mujh se wo saya chimaT gaya
luTte hue awam ke ghar-bar dekh kar
ai shahryar tera kaleja na phaT gaya
rakkhega KHak rabt wo is kaenat se
jo zarra apni zat ke andar simaT gaya
choron ka ehtisab na ab tak hua 'qatil'
jo hath be-qusur tha wo hath kaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.