Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab apne gham ka fasana unhen sunate hain

Kashfi Lucknavi

jab apne gham ka fasana unhen sunate hain

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    jab apne ġham fasāna unheñ sunāte haiñ

    zamāna hañstā hai ham par vo muskurāte haiñ

    mirī nigāh se jab vo nazar milāte haiñ

    dil-e-ġharīb duniyā ujaaḌ jaate haiñ

    hamārī āñkhoñ ne har inqalāb dekhā hai

    zamāna vaale hameñ kis liye Darāte haiñ

    ye kaisā jashn manāte haiñ gulsitāñ vaale

    guloñ ko toḌte haiñ āshiyāñ jalāte haiñ

    zamāne vaale samajhte haiñ ham ko dīvāna

    tumhāre husn ke jis vaqt giit gaate haiñ

    tirī nigāh meñ saaqī ye kaisā jaadū hai

    ki be-piye qadam Dagmagā.e jaate haiñ

    jo terī bazm-e-tarab meñ kabhī guzāre the

    vo lamhe ab bhī hameñ roz yaad aate haiñ

    hamāre ashkoñ tābish pe hai nazar shāyad

    jabhī to shaam se taare bhī jhilmilāte haiñ

    vo kyā banā.eñge bigḌā nasīb ai 'kashfī'

    jo mere hāl-e-pareshāñ pe muskurāte haiñ

    jab apne gham ka fasana unhen sunate hain

    zamana hansta hai hum par wo muskuraate hain

    meri nigah se jab wo nazar milate hain

    dil-e-gharib ki duniya ujaD jate hain

    hamari aankhon ne har inqalab dekha hai

    zamana wale hamein kis liye Daraate hain

    ye kaisa jashn manate hain gulsitan wale

    gulon ko toDte hain aashiyan jalate hain

    zamane wale samajhte hain hum ko diwana

    tumhaare husn ke jis waqt git gate hain

    teri nigah mein saqi ye kaisa jadu hai

    ki be-piye hi qadam Dagmagae jate hain

    jo teri bazm-e-tarab mein kabhi guzare the

    wo lamhe ab bhi hamein roz yaad aate hain

    hamare ashkon ki tabish pe hai nazar shayad

    jabhi to sham se tare bhi jhilmilate hain

    wo kya banaenge bigDa nasib ai 'kashfi'

    jo mere haal-e-pareshan pe muskuraate hain

    Source :
    • Saaz-o-Naghma
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now