jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai
jab azm ke sho.aloñ ko himmat ne havā dī hai
tūfāñ ne hī sāhil kī tasvīr dikhā dī hai
sho.aloñ se gila kaisā bijlī se shikāyat kyā
gulshan ke nigahbāñ ne har shāḳh jalā dī hai
chāhā thā kareñ un se kuchh shikva-e-be-mehrī
lab hilne se pahle hī saugand khilā dī hai
ik vo bhī haiñ marte haiñ jo nañg-e-vafā ban kar
har vaar pe ham ne to qātil ko duā dī hai
kaañp uTThā hai jaane kyuuñ har tār-e-nafas 'sumbul'
jab mere buzurgoñ ne jiine kī duā dī hai
jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai
tufan ne hi sahil ki taswir dikha di hai
shoalon se gila kaisa bijli se shikayat kya
gulshan ke nigahban ne har shaKH jala di hai
chaha tha karen un se kuchh shikwa-e-be-mehri
lab hilne se pahle hi saugand khila di hai
ek wo bhi hain marte hain jo nang-e-wafa ban kar
har war pe hum ne to qatil ko dua di hai
kanp uTTha hai jaane kyun har tar-e-nafas 'sumbul'
jab mere buzurgon ne jine ki dua di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.