jab ba-taqrib-e-safar yar ne mahmil bandha
jab ba-taqrīb-e-safar yaar ne mahmil bāñdhā
tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil bāñdhā
ahl-e-bīnash ne ba-hairat-kada-e-shoḳhi-e-nāz
jauhar-e-ā.ina ko tūti-e-bismil bāñdhā
yaas o ummīd ne yak-arbada maidāñ māñgā
ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sā.il bāñdhā
na bañdhe tishnagi-e-zauq ke mazmūñ 'ġhālib'
garche dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
istilāhāt-e-asīrān-e-taġhāful mat pūchh
jo girah aap na kholī use mushkil bāñdhā
yaar ne tishnagī-e-shauq ke mazmūñ chāhe
ham ne dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
tapish-e-ā.īna parvāz-e-tamannā laa.ī
nāma-e-shauq ba-hāl-e-dil-e-bismil bāñdhā
diida tā-dil hai yak-ā.īna charāġhāñ kis ne
ḳhalvat-e-nāz pe pairāya-e-mahfil bāñdhā
nā-umīdī ne ba-taqrīb-e-mazāmīn-e-ḳhumār
kūcha-e-mauj ko ḳhamyāza-e-sāhil bāñdhā
mutrib-e-dil ne mire tār-e-nafas se 'ġhālib'
saaz par rishta pa.e naġhma-e-'bedil' bāñdhā
nā-tavānī hai tamāshā.ī-e-umr-e-rafta
rang ne aa.ina āñkhoñ ke muqābil bāñdhā
nok-e-har-ḳhār se thā bas-ki sar-e-duzdī-e-zaḳhm
chuuñ namad ham ne kaf-e-pā pe 'asad' dil bāñdhā
jab ba-taqrib-e-safar yar ne mahmil bandha
tapish-e-shauq ne har zarre pe ek dil bandha
ahl-e-binash ne ba-hairat-kada-e-shoKHi-e-naz
jauhar-e-aina ko tuti-e-bismil bandha
yas o ummid ne yak-arbada maidan manga
ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sail bandha
na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmun 'ghaalib'
garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
istilahat-e-asiran-e-taghaful mat puchh
jo girah aap na kholi use mushkil bandha
yar ne tishnagi-e-shauq ke mazmun chahe
hum ne dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
tapish-e-aina parwaz-e-tamanna lai
nama-e-shauq ba-haal-e-dil-e-bismil bandha
dida ta-dil hai yak-aina charaghan kis ne
KHalwat-e-naz pe pairaya-e-mahfil bandha
na-umidi ne ba-taqrib-e-mazamin-e-KHumar
kucha-e-mauj ko KHamyaza-e-sahil bandha
mutrib-e-dil ne mere tar-e-nafas se 'ghaalib'
saz par rishta pae naghma-e-'bedil' bandha
na-tawani hai tamashai-e-umr-e-rafta
rang ne aaina aankhon ke muqabil bandha
nok-e-har-KHar se tha bas-ki sar-e-duzdi-e-zaKHm
chun namad hum ne kaf-e-pa pe 'asad' dil bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.