jab banTana hi azab Thahra
jab bāñTanā hī azaab Thahrā
phir kaisā hisāb māñgte ho
sab hoñToñ pe mohr lag chukī hai
ab kis se javāb māñgte ho
kaliyoñ ko masal ke apne hāthoñ
phūloñ se shabāb māñgte ho
har lafz salīb par chaḌhā kar
tum kaisī kitāb māñgte ho
sab raushniyoñ ko chhīn kar bhī
dīvānoñ se ḳhvāb māñgte ho
firdaus-e-barīñ meñ mil sakegī
is yug meñ sharāb māñgte ho
jab banTana hi azab Thahra
phir kaisa hisab mangte ho
sab honTon pe mohr lag chuki hai
ab kis se jawab mangte ho
kaliyon ko masal ke apne hathon
phulon se shabab mangte ho
har lafz salib par chaDha kar
tum kaisi kitab mangte ho
sab raushniyon ko chhin kar bhi
diwanon se KHwab mangte ho
firdaus-e-barin mein mil sakegi
is yug mein sharab mangte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.