jab baDha dard ki maujon ka dabaw sahab
jab baḌhā dard kī maujoñ kā dabāv sāhab
merī sāñsoñ kī larazne lagī naav sāhab
is se baḌh kar nahīñ afsurda-mizājī kā ilaaj
dil agar ro.e to auroñ ko hañsāo sāhab
ghup añdhere meñ ugātā huuñ suḳhan kā sūraj
be-sabab thoḌī hai rātoñ se lagāv sāhab
jab nahīñ miltī na.e zaḳhm kī sauġhāt mujhe
chhīl detā huuñ purānā koī ghaav sāhab
jis kī dānā.ī ne mansūḳh kiye hosh-o-havās
aise nādān pe patthar na uThāo sāhab
maiñ ne us husn-e-mujassam kī ziyārat kī hai
merī āñkhoñ ke zarā daam lagāo sāhab
bijliyāñ vasl kī sāñsoñ pe girāo sāhab
ruḳh se bhīgī huī zulfoñ ko haTāo sāhab
jaise sahrāoñ meñ milte haiñ do pyāse dariyā
hoñT se hoñT kuchh is tarah milāo sāhab
dil mohabbat kī saqāfat kā azal se hai amiiñ
is shahanshāh ko nafrat na sikhāo sāhab
jiit kar jashn manānā to huī aam sī baat
haar kar bhī to kabhī jashn manāo sāhab
ham na.e ahd ke suqrāt haiñ is baar hameñ
zahr kā pyāla nahīñ jaam pilāo sāhab
jab baDha dard ki maujon ka dabaw sahab
meri sanson ki larazne lagi naw sahab
is se baDh kar nahin afsurda-mizaji ka ilaj
dil agar roe to auron ko hansao sahab
ghup andhere mein ugata hun suKHan ka suraj
be-sabab thoDi hai raaton se lagaw sahab
jab nahin milti nae zaKHm ki saughat mujhe
chhil deta hun purana koi ghaw sahab
jis ki danai ne mansuKH kiye hosh-o-hawas
aise nadan pe patthar na uThao sahab
main ne us husn-e-mujassam ki ziyarat ki hai
meri aankhon ke zara dam lagao sahab
bijliyan wasl ki sanson pe girao sahab
ruKH se bhigi hui zulfon ko haTao sahab
jaise sahraon mein milte hain do pyase dariya
honT se honT kuchh is tarah milao sahab
dil mohabbat ki saqafat ka azal se hai amin
is shahanshah ko nafrat na sikhao sahab
jit kar jashn manana to hui aam si baat
haar kar bhi to kabhi jashn manao sahab
hum nae ahd ke suqraat hain is bar hamein
zahr ka pyala nahin jam pilao sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.