jab barq-pash jalwa-e-jaanana ban gaya
jab barq-pāsh jalva-e-jānāna ban gayā
farzāna thā vahī ki jo dīvāna ban gayā
shauq-e-numūd ne use rakkhā na arsh par
ka.aba kahīñ banā kahīñ but-ḳhāna ban gayā
uftād ga.ī qalb kā allāh re uruuj
mahfil meñ us kī TuuT ke paimāna ban gayā
takmīl-e-ishq husn ko betāb kar ga.ī
ḳhud sāz-e-sham.a sozish-e-parvāna ban gayā
is dil ne itnī kī hai yagānoñ kī justujū
apnī nazar meñ aap hī begāna ban gayā
tasvīr-e-intizār banā shauq-e-dil to kyā
kambaḳht us kā va.ada-e-īfā na ban gayā
hangāma-e-nuzūl tamannā-e-dil na pūchh
ābād ho ke nāzish-e-vīrāna ban gayā
jo naala aaj tak na huā lab se āshnā
duniyā meñ kyoñ 'munīr' vo afsāna ban gayā
jab barq-pash jalwa-e-jaanana ban gaya
farzana tha wahi ki jo diwana ban gaya
shauq-e-numud ne use rakkha na arsh par
kaba kahin bana kahin but-KHana ban gaya
uftad gai qalb ka allah re uruj
mahfil mein us ki TuT ke paimana ban gaya
takmil-e-ishq husn ko betab kar gai
KHud saz-e-shama sozish-e-parwana ban gaya
is dil ne itni ki hai yaganon ki justuju
apni nazar mein aap hi begana ban gaya
taswir-e-intizar bana shauq-e-dil to kya
kambaKHt us ka wada-e-ifa na ban gaya
hangama-e-nuzul tamanna-e-dil na puchh
aabaad ho ke nazish-e-virana ban gaya
jo nala aaj tak na hua lab se aashna
duniya mein kyon 'munir' wo afsana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.