Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi barsi azab ki barish

Amit Ahad

jab bhi barsi azab ki barish

Amit Ahad

jab bhī barsī azaab bārish

raas aa.ī sharāb bārish

maiñ ne pūchhā ki pyaar hai mujh se

us ne kar gulāb bārish

maiñ ne to ik savāl pūchhā thā

us ne kar javāb bārish

husn vāloñ ke vāste kar de

ai ḳhudā hijāb bārish

shā.irī par yaqīñ hai barsegī

ek din to ḳhitāb bārish

maiñ ne ik jaam aur māñgā thā

us ne kar hisāb bārish

der tak saath bhīge ham us ke

ham ne yuuñ kāmyāb bārish

pyaar se rok 'ahad' maiñ ne

aaj us ke itaab bārish

jab bhi barsi azab ki barish

ras aai sharab ki barish

main ne puchha ki pyar hai mujh se

us ne kar di gulab ki barish

main ne to ek sawal puchha tha

us ne kar di jawab ki barish

husn walon ke waste kar de

ai KHuda tu hijab ki barish

shairi par yaqin hai barsegi

ek din to KHitab ki barish

main ne ek jam aur manga tha

us ne kar di hisab ki barish

der tak sath bhige hum us ke

hum ne yun kaamyab ki barish

pyar se rok di 'ahad' main ne

aaj us ke itab ki barish

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now