jab bhi dil khol ke roe honge
jab bhī dil khol ke ro.e hoñge
log ārām se so.e hoñge
ba.az auqāt ba-majbūrī-e-dil
ham to kyā aap bhī ro.e hoñge
sub.h tak dast-e-sabā ne kyā kyā
phuul kāñToñ meñ piro.e hoñge
vo safīne jinheñ tūfāñ na mile
nā-ḳhudāoñ ne Dubo.e hoñge
raat bhar hañste hue tāroñ ne
un ke aariz bhī bhigo.e hoñge
kyā ajab hai vo mile bhī hoñ 'farāz'
ham kisī dhyān meñ kho.e hoñge
jab bhi dil khol ke roe honge
log aaram se soe honge
baz auqat ba-majburi-e-dil
hum to kya aap bhi roe honge
subh tak dast-e-saba ne kya kya
phul kanTon mein piroe honge
wo safine jinhen tufan na mile
na-KHudaon ne Duboe honge
raat bhar hanste hue taron ne
un ke aariz bhi bhigoe honge
kya ajab hai wo mile bhi hon 'faraaz'
hum kisi dhyan mein khoe honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.