jab bhi faulad pighal jata hai
jab bhī faulād pighal jaatā hai
jaisā manzūr ho Dhal jaatā hai
jis tarah tiir kamāñ se nikle
us tarah vaqt nikal jaatā hai
vaqt ke daao se bachne vaalo
vaqt kā daav to chal jaatā hai
kisī taqdīr meñ likkhī ho magar
kab tirī zulf kā bal jaatā hai
phuul chhūtā hai vo hotā hai shaad
aag chhūtā hai vo jal jaatā hai
vo kisī chhoTe se bachche kī tarah
baat meñ rang badal jaatā hai
un ke altāf-e-karam ke sadqe
haañ burā vaqt bhī Tal jaatā hai
‘manzil’-e-zār ko pūchho kyā ho
vo to bātoñ meñ bahal jaatā hai
jab bhi faulad pighal jata hai
jaisa manzur ho Dhal jata hai
jis tarah tir kaman se nikle
us tarah waqt nikal jata hai
waqt ke dao se bachne walo
waqt ka daw to chal jata hai
kisi taqdir mein likkhi ho magar
kab teri zulf ka bal jata hai
phul chhuta hai wo hota hai shad
aag chhuta hai wo jal jata hai
wo kisi chhoTe se bachche ki tarah
baat mein rang badal jata hai
un ke altaf-e-karam ke sadqe
han bura waqt bhi Tal jata hai
‘manzil’-e-zar ko puchho kya ho
wo to baaton mein bahal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.