jab bhi hanste hue inkar kiya hai usne
jab bhī hañste hue inkār kiyā hai us ne
dil pe ik aur nayā vaar kiyā hai us ne
us ko nafrat kī nigāhoñ se na dekhe koī
umr bhar ḳhud ko bahut pyaar kiyā hai us ne
chūmnā us ko salīqe se zarā bād-e-sabā
varaq-e-gul ko bhī talvār kiyā hai us ne
dhuup āvāz de to chhāñv pukāre us ko
kitne aalam ko giraftār kiyā hai us ne
kyā kabhī sham-e-farozāñ se kisī ne pūchhā
kaise ik sub.h kā dīdār kiyā hai us ne
jab bhi hanste hue inkar kiya hai us ne
dil pe ek aur naya war kiya hai us ne
us ko nafrat ki nigahon se na dekhe koi
umr bhar KHud ko bahut pyar kiya hai us ne
chumna us ko saliqe se zara baad-e-saba
waraq-e-gul ko bhi talwar kiya hai us ne
dhup aawaz de to chhanw pukare us ko
kitne aalam ko giraftar kiya hai us ne
kya kabhi sham-e-farozan se kisi ne puchha
kaise ek subh ka didar kiya hai us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.