jab bhi jalegi sham to parwana aaega
jab bhī jalegī sham' to parvāna aa.egā
dīvāna le ke jaan kā nazrāna aa.egā
tujh ko bhulā ke lūñgā maiñ ḳhud se bhī intiqām
jab mere haath meñ kabhī paimāna aa.egā
āsān kis qadar hai samajh lo mirā pata
bastī ke baa'd pahlā jo vīrāna aa.egā
us kī galī meñ sar kī bhī lāzim hai ehtiyāt
patthar uThā ke haath meñ dīvāna aa.egā
'nāsir' jo pattharoñ se navāzā gayā huuñ maiñ
marne ke baa'd phūloñ kā nazrāna aa.egā
jab bhi jalegi sham' to parwana aaega
diwana le ke jaan ka nazrana aaega
tujh ko bhula ke lunga main KHud se bhi intiqam
jab mere hath mein kabhi paimana aaega
aasan kis qadar hai samajh lo mera pata
basti ke ba'd pahla jo virana aaega
us ki gali mein sar ki bhi lazim hai ehtiyat
patthar uTha ke hath mein diwana aaega
'nasir' jo pattharon se nawaza gaya hun main
marne ke ba'd phulon ka nazrana aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.