jab bhi jazbaat ka tufan aae
jab bhī jazbāt kā tūfān aa.e
mere alfāz bahā kar le jaa.e
dil kī dhaḌkan pe vahī ḳhuub rahe
band hoñToñ ne jo naġhme gaa.e
kyā ajab hai ki ḳhushī ho ki ho ġham
aañkh kā jaam chhalak hī jaa.e
dopahar meñ mirā sūraj Duubā
aise māyūsī ke bādal chhā.e
sher kahtā hai to chhapvāyā bhī kar
par 'arun' kaun tujhe samjhā.e
jab bhi jazbaat ka tufan aae
mere alfaz baha kar le jae
dil ki dhaDkan pe wahi KHub rahe
band honTon ne jo naghme gae
kya ajab hai ki KHushi ho ki ho gham
aankh ka jam chhalak hi jae
dopahar mein mera suraj Duba
aise mayusi ke baadal chhae
sher kahta hai to chhapwaya bhi kar
par 'arun' kaun tujhe samjhae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.