jab bhi kamre mein kuchh hawa aai
jab bhī kamre meñ kuchh havā aa.ī
maiñ ne jaanā vahī sadā aa.ī
zehn jis ko uThā.e phirtā thā
aañkh us ko kahīñ gañvā aa.ī
shāḳh TuuTī to ik sadā niklī
saare jañgal ko jo jagā aa.ī
jab daraḳhtoñ se jhaḌ ga.e patte
bojh laade hue havā aa.ī
mere ghar meñ taḌap rahī hai raat
ḳhvāb jaane kahāñ luTā aa.ī
jab bhi kamre mein kuchh hawa aai
main ne jaana wahi sada aai
zehn jis ko uThae phirta tha
aankh us ko kahin ganwa aai
shaKH TuTi to ek sada nikli
sare jangal ko jo jaga aai
jab daraKHton se jhaD gae patte
bojh lade hue hawa aai
mere ghar mein taDap rahi hai raat
KHwab jaane kahan luTa aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.