jab bhi kisi ne KHud ko sada di
jab bhī kisī ne ḳhud ko sadā dī
sannāToñ meñ aag lagā dī
miTTī us kī paanī us kā
jaisī chāhī shakl banā dī
chhoTā lagtā thā afsāna
maiñ ne terī baat baḌhā dī
jab bhī sochā us kā chehra
apnī hī tasvīr banā dī
tujh ko tujh meñ DhūñDh ke ham ne
duniyā terī shaan baḌhā dī
jab bhi kisi ne KHud ko sada di
sannaTon mein aag laga di
miTTi us ki pani us ka
jaisi chahi shakl bana di
chhoTa lagta tha afsana
main ne teri baat baDha di
jab bhi socha us ka chehra
apni hi taswir bana di
tujh ko tujh mein DhunDh ke hum ne
duniya teri shan baDha di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.