jab bhi mausam ye sard hota hai
jab bhī mausam ye sard hotā hai
jaane kyoñ dil meñ dard hotā hai
har ghaḌī kyoñ mire tasavvur meñ
bas vahī ek fard hotā hai
dekh kar mujh ko mere aa’dā ke
rang chehroñ kā zard hotā hai
khel meñ 'ishq ke batā 'faisal'
kyoñ mirā dil hī nard hotā hai
jab bhi mausam ye sard hota hai
jaane kyon dil mein dard hota hai
har ghaDi kyon mere tasawwur mein
bas wahi ek fard hota hai
dekh kar mujh ko mere aa’da ke
rang chehron ka zard hota hai
khel mein 'ishq ke bata 'faisal'
kyon mera dil hi nard hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.