jab bhi saman-e-sukun-e-dil-o-jaan hone laga
jab bhī sāmān-e-sukūn-e-dil-o-jāñ hone lagā
choT khaa.ī thī kabhī is kā gumāñ hone lagā
ab tirī anjuman-e-nāz koī raaz nahīñ
ab mirā dard bhī lafzoñ meñ bayāñ hone lagā
ziist kyā chiiz hai koī bhī na pahchān sakā
surḳh-rū kaun huā kis kā ziyāñ hone lagā
sho.ala-e-gul ne liyā dāman-e-gulchīñ se ḳhirāj
ḳhud bahāroñ ko bhī ehsās-e-ḳhizāñ hone lagā
chāragar chāk-garebāñ kī ḳhabar lene lage
aam phir shikva-e-bedād-garāñ hone lagā
vaqt ke saath to ehsās bhī miT jaatā hai
kis ko ma.alūm ki ab dard kahāñ hone lagā
kisī tūfān kī aamad hai ḳhudā ḳhair kare
mehrbāñ ham pe jo vo dushman-e-jāñ hone lagā
jab bhi saman-e-sukun-e-dil-o-jaan hone laga
choT khai thi kabhi is ka guman hone laga
ab teri anjuman-e-naz koi raaz nahin
ab mera dard bhi lafzon mein bayan hone laga
zist kya chiz hai koi bhi na pahchan saka
surKH-ru kaun hua kis ka ziyan hone laga
shoala-e-gul ne liya daman-e-gulchin se KHiraj
KHud bahaaron ko bhi ehsas-e-KHizan hone laga
chaaragar chaak-gareban ki KHabar lene lage
aam phir shikwa-e-bedad-garan hone laga
waqt ke sath to ehsas bhi miT jata hai
kis ko malum ki ab dard kahan hone laga
kisi tufan ki aamad hai KHuda KHair kare
mehrban hum pe jo wo dushman-e-jaan hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.