jab bhi sham-e-tarab jalai hai
jab bhī sham-e-tarab jalā.ī hai
aañch mahrūmiyoñ kī aa.ī hai
rāste itne be-karāñ to na the
justujū kitnī duur laa.ī hai
zahmat-e-justujū se kyā hogā
bū-e-gul kis ke haath aa.ī hai
kitnī rañgīniyoñ meñ terī yaad
kis qadar sādgī se aa.ī hai
kah ke jān-e-ġhazal tujhe ham ne
apnī kam-mā.igī chhupā.ī hai
jab bhī 'jāved' chheḌ dī hai ġhazal
baat vāraftagī tak aa.ī hai
jab bhi sham-e-tarab jalai hai
aanch mahrumiyon ki aai hai
raste itne be-karan to na the
justuju kitni dur lai hai
zahmat-e-justuju se kya hoga
bu-e-gul kis ke hath aai hai
kitni ranginiyon mein teri yaad
kis qadar sadgi se aai hai
kah ke jaan-e-ghazal tujhe hum ne
apni kam-maigi chhupai hai
jab bhi 'jawed' chheD di hai ghazal
baat waraftagi tak aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.