jab bhi sine mein kisi but ko sajaya humne
jab bhi sine mein kisi but ko sajaya humne
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
jab bhī siine meñ kisī but ko sajāyā ham ne
ik hijāb aap ke chehre se uThāyā ham ne
naam lene se tirā baaz na aayā phir bhī
dil-e-kambaḳht ko samjhāyā bujhāyā ham ne
terī tasvīr pe kuchh soch ke aksar apnā
naam likh likh ke ka.ī baar miTāyā ham ne
ek ehsās kī bandish ke sivā kuchh bhī nahīñ
aap ke pyaar se is raaz ko paayā ham ne
kabhī is dil ke varaq par jo likhī thī tahrīr
terā ḳhat paḌh ke use aaj miTāyā ham ne
aaj kis darja bulandī pe hai qismat apnī
aap kī bazm meñ dil apnā jalāyā ham ne
'rāje' ham kis se kaheñ kaun sunegā fariyād
is jahāñ meñ koī insān na paayā ham ne
jab bhi sine mein kisi but ko sajaya hum ne
ek hijab aap ke chehre se uThaya hum ne
nam lene se tera baz na aaya phir bhi
dil-e-kambaKHt ko samjhaya bujhaya hum ne
teri taswir pe kuchh soch ke aksar apna
nam likh likh ke kai bar miTaya hum ne
ek ehsas ki bandish ke siwa kuchh bhi nahin
aap ke pyar se is raaz ko paya hum ne
kabhi is dil ke waraq par jo likhi thi tahrir
tera KHat paDh ke use aaj miTaya hum ne
aaj kis darja bulandi pe hai qismat apni
aap ki bazm mein dil apna jalaya hum ne
'raje' hum kis se kahen kaun sunega fariyaad
is jahan mein koi insan na paya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.