jab bhi un se kalam hota hai
jab bhi un se kalam hota hai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
jab bhī un se kalām hotā hai
har suḳhan nā-tamām hotā hai
ishq jis ke hazār ma.anī haiñ
ek saada payām hotā hai
vo nafas jis meñ terī yaad na ho
āshiqī meñ harām hotā hai
ġham kī azmat na jānñe vaalo
ġham kā bhī ik maqām hotā hai
kūcha-e-dost kā har ik zarra
qābil-e-ehtirām hotā hai
maut go talḳh hai magar is se
ik sukūn-e-davām hotā hai
ālam-e-be-ḳhudī meñ ai 'jauhar'
un se aksar kalām hotā hai
jab bhi un se kalam hota hai
har suKHan na-tamam hota hai
ishq jis ke hazar mani hain
ek sada payam hota hai
wo nafas jis mein teri yaad na ho
aashiqi mein haram hota hai
gham ki azmat na jaanne walo
gham ka bhi ek maqam hota hai
kucha-e-dost ka har ek zarra
qabil-e-ehtiram hota hai
maut go talKH hai magar is se
ek sukun-e-dawam hota hai
aalam-e-be-KHudi mein ai 'jauhar'
un se aksar kalam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.