jab bhi uski misal deti ho
jab bhī us kī misāl detī ho
jaan merī nikāl detī ho
pahle suntī ho ġhaur se bāteñ
phir salīqe se Taal detī ho
sab ḳhatā.eñ tumhārī apnī haiñ
phir bhī qismat pe Daal detī ho
jab bhī karnā ho faisla koī
ek sikka uchhāl detī ho
jān-e-'jāzib' tumhārā kyā hogā
dushmanoñ ko bhī Dhaal detī ho
jab bhi us ki misal deti ho
jaan meri nikal deti ho
pahle sunti ho ghaur se baaten
phir saliqe se Tal deti ho
sab KHataen tumhaari apni hain
phir bhi qismat pe Dal deti ho
jab bhi karna ho faisla koi
ek sikka uchhaal deti ho
jaan-e-'jazib' tumhaara kya hoga
dushmanon ko bhi Dhaal deti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.