jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya
jab chāhā iqrār kiyā hai jab chāhā inkār kiyā
dekho ham ne ḳhud hī se ye kaisā anokhā pyaar kiyā
aisā anokhā aisā tīkhā jis ko koī sah na sake
ham samjhe pattī pattī ko ham ne hī sarshār kiyā
ruup anokhe mere haiñ aur ruup ye tū ne dekhe haiñ
maiñ ne chāhā kar bhī dikhāyā yā jañgal gulzār kiyā
dard to hotā hī rahtā hai dard ke din hī pyāre haiñ
jaise tez chhurī ko ham ne rah rah kar phir dhaar kiyā
kaale chehre kaalī ḳhushbū sab ko ham ne dekhā hai
apnī āñkhoñ se un ko sharminda har ik baar kiyā
rote dil hañste chehroñ ko koī bhī na dekh sakā
aañsū pī lene kā va.ada haañ sab ne har baar kiyā
kahne jaisī baat nahīñ hai baat to bilkul saada hai
dil hī par qurbān hue aur dil hī ko bīmār kiyā
shīshe TuuTe yā dil TuuTe ḳhushk laboñ par maut liye
jo koī bhī kar na sakā vo ham ne āḳhir-kār kiyā
'nāz' tire zaḳhmī hāthoñ ne jo bhī kiyā achchhā hī kiyā
tū ne sab kī maañg sajā.ī har ik kā siñgār kiyā
jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya
dekho hum ne KHud hi se ye kaisa anokha pyar kiya
aisa anokha aisa tikha jis ko koi sah na sake
hum samjhe patti patti ko hum ne hi sarshaar kiya
rup anokhe mere hain aur rup ye tu ne dekhe hain
main ne chaha kar bhi dikhaya ya jangal gulzar kiya
dard to hota hi rahta hai dard ke din hi pyare hain
jaise tez chhuri ko hum ne rah rah kar phir dhaar kiya
kale chehre kali KHushbu sab ko hum ne dekha hai
apni aankhon se un ko sharminda har ek bar kiya
rote dil hanste chehron ko koi bhi na dekh saka
aansu pi lene ka wada han sab ne har bar kiya
kahne jaisi baat nahin hai baat to bilkul sada hai
dil hi par qurban hue aur dil hi ko bimar kiya
shishe TuTe ya dil TuTe KHushk labon par maut liye
jo koi bhi kar na saka wo hum ne aaKHir-kar kiya
'naz' tere zaKHmi hathon ne jo bhi kiya achchha hi kiya
tu ne sab ki mang sajai har ek ka singar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.