jab dekhte rahte hain wo kirdar hamare
jab dekhte rahte haiñ vo kirdār hamāre
hoñ kyuuñ na pashemāñ dar-o-dīvār hamāre
dete haiñ har ik raah meñ rahgīr ko saaya
jalte haiñ kaḌī dhuup meñ ashjār hamāre
taqsīm ke sadqe meñ hameñ kuchh to milegā
chal phuul tumhāre haiñ to sab ḳhaar hamāre
aa jaao ki mil-jul ke koī shakl banā leñ
haiñ tishna-e-takmīl vo shah-kār hamāre
sadiyoñ ke qarīne liye tahzīb hamārī
yuuñ 'roz' badalte nahīñ me.aar hamāre
jab dekhte rahte hain wo kirdar hamare
hon kyun na pasheman dar-o-diwar hamare
dete hain har ek rah mein rahgir ko saya
jalte hain kaDi dhup mein ashjar hamare
taqsim ke sadqe mein hamein kuchh to milega
chal phul tumhaare hain to sab KHar hamare
aa jao ki mil-jul ke koi shakl bana len
hain tishna-e-takmil wo shah-kar hamare
sadiyon ke qarine liye tahzib hamari
yun 'roz' badalte nahin mear hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.