jab dil mein teri yaad na aankhon mein nind thi
jab dil meñ terī yaad na āñkhoñ meñ niiñd thī
aisī bhī ek raat mujhe kāTnī paḌī
jis ke baġhair pul kā guzarnā muhāl thā
us jān-e-jāñ kī yaad bhī mehmān ban ga.ī
pahlū meñ bhī tire ġham-e-daurāñ kā Dar rahā
kār-e-jahāñ ne yuuñ mirī miTTī ḳharāb kī
jis ke liye ye ḳhāk-basar umr bhar rahā
us ne dil-e-ġharīb kī koī ḳhabar na kī
jiinā nahīñ thā khel magar tere naam par
ham ne ye qaid-e-saḳht bhī hañs kar guzār dī
jab dil mein teri yaad na aankhon mein nind thi
aisi bhi ek raat mujhe kaTni paDi
jis ke baghair pul ka guzarna muhaal tha
us jaan-e-jaan ki yaad bhi mehman ban gai
pahlu mein bhi tere gham-e-dauran ka Dar raha
kar-e-jahan ne yun meri miTTi KHarab ki
jis ke liye ye KHak-basar umr bhar raha
us ne dil-e-gharib ki koi KHabar na ki
jina nahin tha khel magar tere nam par
hum ne ye qaid-e-saKHt bhi hans kar guzar di
- Book : sheerazah (Pg. 113)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.