jab dil mein tere gham ne hasrat ki bana Dali
jab dil meñ tire ġham ne hasrat kī binā Daalī
duniyā mirī rāhat kī qismat ne miTā Daalī
ab barq-e-nasheman ko har shāḳh se kyā matlab
jis shāḳh ko taakā thā vo shāḳh jalā Daalī
iz.hār-e-mohabbat kī hasrat ko ḳhudā samjhe
ham ne ye kahānī bhī sau baar sunā Daalī
jiine bhī nahīñ dete marne bhī nahīñ dete
kyā tum ne mohabbat kī har rasm uThā Daalī
jiine meñ na ab 'fānī' marne meñ shumār apnā
mātam kī bisāt us ne kyā kah ke uThā Daalī
jab dil mein tere gham ne hasrat ki bina Dali
duniya meri rahat ki qismat ne miTa Dali
ab barq-e-nasheman ko har shaKH se kya matlab
jis shaKH ko taka tha wo shaKH jala Dali
izhaar-e-mohabbat ki hasrat ko KHuda samjhe
hum ne ye kahani bhi sau bar suna Dali
jine bhi nahin dete marne bhi nahin dete
kya tum ne mohabbat ki har rasm uTha Dali
jine mein na ab 'fani' marne mein shumar apna
matam ki bisat us ne kya kah ke uTha Dali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.