jab fart-e-gham mein aankh se aansu nikal gae
jab fart-e-ġham meñ aañkh se aañsū nikal ga.e
hālāt mere dekh ke patthar pighal ga.e
mujh se bichhaḌ ke vo to bahut shaad the magar
mere qarīb aa.e to chehre badal ga.e
ab kyā sunā.eñ dāstāñ apnoñ kī bhī tumheñ
ġham ko hamāre dekh ke jab tum machal ga.e
barsoñ ke baa'd aayā jo mausam bahār kā
merī ḳhushī ko dekh ke apne hī jal ga.e
kāñToñ ko ham ne pyaar se chūmā to dekh kar
gulshan ke saare phuul 'shabāhat' kuchal ga.e
jab fart-e-gham mein aankh se aansu nikal gae
haalat mere dekh ke patthar pighal gae
mujh se bichhaD ke wo to bahut shad the magar
mere qarib aae to chehre badal gae
ab kya sunaen dastan apnon ki bhi tumhein
gham ko hamare dekh ke jab tum machal gae
barson ke ba'd aaya jo mausam bahaar ka
meri KHushi ko dekh ke apne hi jal gae
kanTon ko hum ne pyar se chuma to dekh kar
gulshan ke sare phul 'shabahat' kuchal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.