jab fikron par baadal se manDlate honge
jab fikroñ par bādal se mañDlāte hoñge
insāñ ghaT kar saa.e se rah jaate hoñge
do din ko gulshan pe bahār aane ko hogī
panchhī dil meñ raag sadā ke gaate hoñge
duniyā to sīdhī hai lekin duniyā vaale
jhūTī sachchī kah ke use bahkāte hoñge
yaad aa jaatā hogā koī jab raahī ko
chalte chalte paañv vahīñ ruk jaate hoñge
kalī kalī birhan kī chitā ban jaatī hogī
kaale bādal ghir kar aage lagāte hoñge
dukh meñ kyā karte hoñge daulat ke pujārī
ruup khilaunā toḌ ke man bahlāte hoñge
jab fikron par baadal se manDlate honge
insan ghaT kar sae se rah jate honge
do din ko gulshan pe bahaar aane ko hogi
panchhi dil mein rag sada ke gate honge
duniya to sidhi hai lekin duniya wale
jhuTi sachchi kah ke use bahkate honge
yaad aa jata hoga koi jab rahi ko
chalte chalte panw wahin ruk jate honge
kali kali birhan ki chita ban jati hogi
kale baadal ghir kar aage lagate honge
dukh mein kya karte honge daulat ke pujari
rup khilauna toD ke man bahlate honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.