jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae
jab ham hudūd-e-dair-o-haram se guzar ga.e
har samt un kā jalva 'ayāñ thā jidhar ga.e
is tarah vo nigāh-e-karam aaj kar ga.e
dil ko surūr-e-bāda-e-ulfat se bhar ga.e
vo ham ko apne dil ke hī andar nihāñ milā
jis kī talāsh karte hue dar-ba-dar ga.e
kuchh ahl-e-zarf dekhte haiñ us ke nuur ko
mahrūm dīdiyoñ ko bahut dīda-var ga.e
dil le gayā hameñ phir usī bevafā ke paas
jaanā nahīñ thā ham ko jahāñ ham magar ga.e
vo aa ga.e to jal uThe ummīd ke charāġh
vo hans diye to bazm meñ motī bikhar ga.e
āñkhoñ meñ ashk-e-ġham liye ham vaqt-e-alvidā'
nazroñ se un ke saath tā-hadd-e-nazar ga.e
dekhā hameñ to garm-nigāhī pighal ga.ī
mizhgāñ ke tiir bhauñ kī kamāñ se utar ga.e
un ke mazīd vā'doñ pe kaise yaqīn ho
ab tak jo vā'da kar ke barābar makr ga.e
ye aur baat phir gayā paanī umiid par
ham un kī bazm meñ kisī ummīd par ga.e
phir us ko purshish-e-ġham-e-ulfat se fā.eda
ghuT ghuT ke jis ke siine meñ armān mar ga.e
ai 'mauj' merī kashtī-e-ulfat vahīñ rahī
tūfān mere chāroñ taraf se guzar ga.e
jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae
har samt un ka jalwa 'ayan tha jidhar gae
is tarah wo nigah-e-karam aaj kar gae
dil ko surur-e-baada-e-ulfat se bhar gae
wo hum ko apne dil ke hi andar nihan mila
jis ki talash karte hue dar-ba-dar gae
kuchh ahl-e-zarf dekhte hain us ke nur ko
mahrum didiyon ko bahut dida-war gae
dil le gaya hamein phir usi bewafa ke pas
jaana nahin tha hum ko jahan hum magar gae
wo aa gae to jal uThe ummid ke charagh
wo hans diye to bazm mein moti bikhar gae
aankhon mein ashk-e-gham liye hum waqt-e-alwida'
nazron se un ke sath ta-hadd-e-nazar gae
dekha hamein to garm-nigahi pighal gai
mizhgan ke tir bhaun ki kaman se utar gae
un ke mazid wa'don pe kaise yaqin ho
ab tak jo wa'da kar ke barabar makr gae
ye aur baat phir gaya pani umid par
hum un ki bazm mein kisi ummid par gae
phir us ko purshish-e-gham-e-ulfat se faeda
ghuT ghuT ke jis ke sine mein arman mar gae
ai 'mauj' meri kashti-e-ulfat wahin rahi
tufan mere chaaron taraf se guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.