jab hamein masjid jaana paDa hai
jab hameñ masjid jaanā paḌā hai
raah meñ ik mai-ḳhāna paḌā hai
jā.iye ab kyuuñ jānib-e-sahrā
shahr to ḳhud vīrāna paḌā hai
ham na piyeñge bhiik kī saaqī
le ye tirā paimāna paḌā hai
harj na ho to dekhte chaliye
raah meñ ik dīvāna paḌā hai
ḳhatm huī sab raat kī mahfil
ek par-e-parvāna paḌā hai
jab hamein masjid jaana paDa hai
rah mein ek mai-KHana paDa hai
jaiye ab kyun jaanib-e-sahra
shahr to KHud virana paDa hai
hum na piyenge bhik ki saqi
le ye tera paimana paDa hai
harj na ho to dekhte chaliye
rah mein ek diwana paDa hai
KHatm hui sab raat ki mahfil
ek par-e-parwana paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.