jab hamein tum yaad aae raat bhar
jab hameñ tum yaad aa.e raat bhar
āñsuoñ ne ġham bahā.e raat bhar
ḳhvāb kitne hī sajā.e raat bhar
jin ko chāhā vo na aa.e raat bhar
ek sūraj Dhal gayā jab shaam ko
chāñd taare muskurā.e raat bhar
kal mujhe ik phuul pannoñ meñ milā
din purāne yaad aa.e raat bhar
jin ke pirītam duur the pardes meñ
chāñdnī ne dil jalā.e raat bhar
kahte haiñ jo qismatoñ kā khel hai
ḳhvāb un ko kyoñ jagā.e raat bhar
jab hamein tum yaad aae raat bhar
aansuon ne gham bahae raat bhar
KHwab kitne hi sajae raat bhar
jin ko chaha wo na aae raat bhar
ek suraj Dhal gaya jab sham ko
chand tare muskurae raat bhar
kal mujhe ek phul pannon mein mila
din purane yaad aae raat bhar
jin ke piritam dur the pardes mein
chandni ne dil jalae raat bhar
kahte hain jo qismaton ka khel hai
KHwab un ko kyon jagae raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.