jab hua wada aur wafa na hua
jab huā va.ada aur vafā na huā
phir barābar hai vo huā na huā
kis se hogī jo kī vafā maiñ ne
kis kā hogā vo jab mirā na huā
tum salāmat raho zamāne meñ
merī kyā maiñ huā huā na huā
ġhair ke badle chhoḌte ho mujhe
vo agar ḳhūgar-e-jafā na huā
jaan denī qubūl kī ham ne
dil lagāne kā jo sila na huā
jab kahā us ne aaj kyoñ chup ho
phir shikāyat kā hausla na huā
jis ke 'mahmūd' vo hue dushman
us kā phir koī āshnā na huā
jab hua wada aur wafa na hua
phir barabar hai wo hua na hua
kis se hogi jo ki wafa main ne
kis ka hoga wo jab mera na hua
tum salamat raho zamane mein
meri kya main hua hua na hua
ghair ke badle chhoDte ho mujhe
wo agar KHugar-e-jafa na hua
jaan deni qubul ki hum ne
dil lagane ka jo sila na hua
jab kaha us ne aaj kyon chup ho
phir shikayat ka hausla na hua
jis ke 'mahmud' wo hue dushman
us ka phir koi aashna na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.