jab iKHtiyar-e-jabr-e-mashiyyat mein aa gae
jab iḳhtiyār-e-jabr-e-mashiyyat meñ aa ga.e
tujh se bichhaḌ ke taaza rifāqat meñ aa ga.e
bas ik shajar ko ḳhuld meñ hairat se chhū liyā
aur is nigār-ḳhāna-e-hairat meñ aa ga.e
yūsuf kā husn chashm-e-zuleḳhā ne chun liyā
ham aise mustarad tirī qismat meñ aa ga.e
aql-o-ḳhirad ne jab bhī tujhe bevafā kahā
is dil ke zaḳhm terī himāyat meñ aa ga.e
ham bhī anā-parast haiñ lekin tirī qasam
ham tere dar pe terī mohabbat meñ aa ga.e
ruḳhsat kiyā kisī ko to apne hī shahr meñ
aisā lagā ki kūcha-e-ġhurbat meñ aa ga.e
jab iKHtiyar-e-jabr-e-mashiyyat mein aa gae
tujh se bichhaD ke taza rifaqat mein aa gae
bas ek shajar ko KHuld mein hairat se chhu liya
aur is nigar-KHana-e-hairat mein aa gae
yusuf ka husn chashm-e-zuleKHa ne chun liya
hum aise mustarad teri qismat mein aa gae
aql-o-KHirad ne jab bhi tujhe bewafa kaha
is dil ke zaKHm teri himayat mein aa gae
hum bhi ana-parast hain lekin teri qasam
hum tere dar pe teri mohabbat mein aa gae
ruKHsat kiya kisi ko to apne hi shahr mein
aisa laga ki kucha-e-ghurbat mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.