jab insan ko apna kuchh idrak hua
jab insān ko apnā kuchh idrāk huā
saarā aalam us kī nazar meñ ḳhaak huā
is mahfil meñ maiñ bhī kyā bebāk huā
aib o hunar kā saarā parda chaak huā
us kī galī se shāyad ho kar aayā hai
bād-e-sabā kā jhoñkā jo saffāk huā
zabt-e-mohabbat kī pābandī ḳhatm huī
shauq-e-badan kā saarā qissa paak huā
us bastī se apnā rishta-e-jāñ 'manzar'
aate jaate mausam kī poshāk huā
jab insan ko apna kuchh idrak hua
sara aalam us ki nazar mein KHak hua
is mahfil mein main bhi kya bebak hua
aib o hunar ka sara parda chaak hua
us ki gali se shayad ho kar aaya hai
baad-e-saba ka jhonka jo saffak hua
zabt-e-mohabbat ki pabandi KHatm hui
shauq-e-badan ka sara qissa pak hua
us basti se apna rishta-e-jaan 'manzar'
aate jate mausam ki poshak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.