jab jab pari KHayal ki taswir khinchiye
jab jab parī ḳhayāl kī tasvīr khīñchiye
har rang-rang ḳhvāb kī ta.abīr khīñchiye
ḳhush-rañg aap haiñ to taḳhayyul ke rang se
ġhazloñ meñ lāla-fikr kī tasvīr khīñchiye
har har qadam pe ḳhuun rulāte haiñ kis liye
har naqsh-e-dāġh-e-zaḳhm kī tauqīr khīñchiye
tārīkiyāñ khurach ke to kar liije pahle saaf
dīvār-e-dil pe phir koī tasvīr khīñchiye
dil ke safar kā naam hai ik dard kā bahāv
phir us safar meñ kyoñ koī zanjīr khīñchiye
dushman haiñ lais lais to phir kyā balā huī
chaliye kamān uThā.iye aur tiir khīñchiye
yādoñ kā aks hai na taḳhayyul kā naqsh hai
phir lab pe kis ke naam kī tahrīr khīñchiye
ghabrā ke dil na ro paḌe dasht-e-ḳhayāl meñ
zulmat ke ham shikār haiñ tanvīr khīñchiye
ho shab kī ḳhāmushī ki ho hangāma-e-sahar
'aḳhtar' zarūr nāla-e-dil-gīr khīñchiye
jab jab pari KHayal ki taswir khinchiye
har rang-rang KHwab ki tabir khinchiye
KHush-rang aap hain to taKHayyul ke rang se
ghazlon mein lala-fikr ki taswir khinchiye
har har qadam pe KHun rulate hain kis liye
har naqsh-e-dagh-e-zaKHm ki tauqir khinchiye
tarikiyan khurach ke to kar lije pahle saf
diwar-e-dil pe phir koi taswir khinchiye
dil ke safar ka nam hai ek dard ka bahaw
phir us safar mein kyon koi zanjir khinchiye
dushman hain lais lais to phir kya bala hui
chaliye kaman uThaiye aur tir khinchiye
yaadon ka aks hai na taKHayyul ka naqsh hai
phir lab pe kis ke nam ki tahrir khinchiye
ghabra ke dil na ro paDe dasht-e-KHayal mein
zulmat ke hum shikar hain tanwir khinchiye
ho shab ki KHamushi ki ho hangama-e-sahar
'aKHtar' zarur nala-e-dil-gir khinchiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.