jab jab teri aankh se Tapka aansu shabnam roi hai
jab jab terī aañkh se Tapkā aañsū shabnam roī hai
jaise sham.a jalī hai shab bhar thak ke sub.h ko soī hai
jo bo.oge vo kāTo.ge qudrat kā qānūn hai ye
ham to kīkar kaaT rahe haiñ kaisī fasl ye boī hai
ḳhuun ke dariyā tair ke ham ne āzādī hāsil kī thī
par sāhil pe pahuñch ke ham ne ḳhud hī naav Duboī hai
mazlūmoñ ne pāmāloñ ne zulm sahe haiñ sadiyoñ se
har ik daur meñ un logoñ ne bas suulī hī Dhoī hai
raste raste ḳhaar bichhe haiñ manzil manzil sho.ale haiñ
dil kī raah pe chal kar ham ne apnī hastī khoī hai
'bismil' umr gañvā.ī sach par īmāñ par qurbān hue
jab insāf kī aas lagā.ī tab tab aañkh bhigoī hai
jab jab teri aankh se Tapka aansu shabnam roi hai
jaise shama jali hai shab bhar thak ke subh ko soi hai
jo booge wo kaToge qudrat ka qanun hai ye
hum to kikar kaT rahe hain kaisi fasl ye boi hai
KHun ke dariya tair ke hum ne aazadi hasil ki thi
par sahil pe pahunch ke hum ne KHud hi naw Duboi hai
mazlumon ne pamalon ne zulm sahe hain sadiyon se
har ek daur mein un logon ne bas suli hi Dhoi hai
raste raste KHar bichhe hain manzil manzil shoale hain
dil ki rah pe chal kar hum ne apni hasti khoi hai
'bismil' umr ganwai sach par iman par qurban hue
jab insaf ki aas lagai tab tab aankh bhigoi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.