jab jahan mein peT sab ka hi hai bharti roTi
jab jahan mein peT sab ka hi hai bharti roTi
Aditya Shrivastava Shafaq
MORE BYAditya Shrivastava Shafaq
jab jahāñ meñ peT sab kā hī hai bhartī roTī
muñh chiḌātī roz-o-shab phir kyoñ mirā hī roTī
roz chūlhe meñ jalātā hai jo ḳhud-dārī ko
bhuuk phir us kī miTā.e kaise us kī roTī
umr itnī thī ki roTī maañ ke hāthoñ khātā
mujh ko to us umr meñ khāne lagī thī roTī
nāchtī hai bhuuk jab bhī chaar din āñgan meñ
tab lahū kī mere qīmat sirf lagtī roTī
jis ne auroñ ke ḳhazāne zindagī bhar the bhare
marte marte vo bhī chillāyā thā roTī roTī
ḳhuun us kā khet meñ bahtā hai jaise paanī
bantī hai jis ke pasīne se sabhī kī roTī
log to karte haiñ īmāñ kā bhī saudā aksar
daañv pe lagtī hai jab un kī ye pyārī roTī
daur-e-ġhurbat meñ bhī kartā hai 'shafaq' ye da.avā
mar bhī jaa.e to na khaa.e shā.irī kī roTī
jab jahan mein peT sab ka hi hai bharti roTi
munh chiDati roz-o-shab phir kyon mera hi roTi
roz chulhe mein jalata hai jo KHud-dari ko
bhuk phir us ki miTae kaise us ki roTi
umr itni thi ki roTi man ke hathon khata
mujh ko to us umr mein khane lagi thi roTi
nachti hai bhuk jab bhi chaar din aangan mein
tab lahu ki mere qimat sirf lagti roTi
jis ne auron ke KHazane zindagi bhar the bhare
marte marte wo bhi chillaya tha roTi roTi
KHun us ka khet mein bahta hai jaise pani
banti hai jis ke pasine se sabhi ki roTi
log to karte hain iman ka bhi sauda aksar
danw pe lagti hai jab un ki ye pyari roTi
daur-e-ghurbat mein bhi karta hai 'shafaq' ye dawa
mar bhi jae to na khae shairi ki roTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.