jab jazba ek bar jigar mein aata hai
jab jazba ik baar jigar meñ aatā hai
phir sab apne aap hunar meñ aatā hai
sab kī zad meñ ik merā hī ghar hai kyā
roz nayā ik patthar ghar meñ aatā hai
kal mere saa.e meñ us kī shakl dikhī
manzar aise pas-manzar meñ aatā hai
maiñ tanhā aatā huuñ mahfil meñ yāroñ
baaqī har insāñ lashkar meñ aatā hai
lahja us kā har jānib hai musallat yuuñ
vo banda har baar ḳhabar meñ aatā hai
dahshat us lamhe kī dil meñ itnī hai
aksar hī vo lamha Dar meñ aatā hai
'mīt' sabhī kā saath yahāñ par detā hai
jo koī bhī biich safar meñ aatā hai
jab jazba ek bar jigar mein aata hai
phir sab apne aap hunar mein aata hai
sab ki zad mein ek mera hi ghar hai kya
roz naya ek patthar ghar mein aata hai
kal mere sae mein us ki shakl dikhi
manzar aise pas-manzar mein aata hai
main tanha aata hun mahfil mein yaron
baqi har insan lashkar mein aata hai
lahja us ka har jaanib hai musallat yun
wo banda har bar KHabar mein aata hai
dahshat us lamhe ki dil mein itni hai
aksar hi wo lamha Dar mein aata hai
'mit' sabhi ka sath yahan par deta hai
jo koi bhi bich safar mein aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.