jab juda hone ka manzar aa gaya tha
jab judā hone kā manzar aa gayā thā
ek qatre meñ samundar aa gayā thā
haath meñ jab tere patthar aa gayā thā
ghar se maiñ dīvāna bāhar aa gayā thā
DhūñDhtā rahtā huuñ ā.īne meñ ḳhud ko
kaun mere itne andar aa gayā thā
pī liyā thā ek kaḌvā ghūñT us ne
zā.iqa mere laboñ par aa gayā thā
ishq bas pahlī dafa achchhā lagā thā
dūsre chakkar meñ chakkar aa gayā thā
is liye terī kahānī se huuñ bāhar
mujh se ik kirdār behtar aa gayā thā
jab juda hone ka manzar aa gaya tha
ek qatre mein samundar aa gaya tha
hath mein jab tere patthar aa gaya tha
ghar se main diwana bahar aa gaya tha
DhunDhta rahta hun aaine mein KHud ko
kaun mere itne andar aa gaya tha
pi liya tha ek kaDwa ghunT us ne
zaiqa mere labon par aa gaya tha
ishq bas pahli dafa achchha laga tha
dusre chakkar mein chakkar aa gaya tha
is liye teri kahani se hun bahar
mujh se ek kirdar behtar aa gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.