jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath
jab kabhī dair-o-haram Takrā.e mai-ḳhānoñ ke saath
sarf-e-gardish kar diyā saaqī ne paimānoñ ke saath
husn bhī kambaḳht kab ḳhālī hai soz-e-ishq se
sham' bhī to rāt-bhar jaltī hai parvānoñ ke saath
roz mai-ḳhvāroñ kī qismat ke sitāre shaam se
jagmagā uThte haiñ jaag uThte haiñ mai-ḳhānoñ ke saath
gardish-e-gardūñ ḳhalal-andāz mai-ḳhāna ho kyā
vaqt rahtā hai yahāñ gardish meñ paimānoñ ke saath
'aql apnoñ se bhī aksar bach ke chaltī hai zarā
'ishq hī kambaḳht ho jaatā hai begānoñ ke saath
kis qadar ḳhush-fahm the jo log agle vaqt meñ
masjideñ banvā diyā karte the but-ḳhānoñ ke saath
tā-na-bāshad chiiz ke mardum na-goyad chīz-hā
kuchh haqīqat bhī huā kartī hai afsānoñ ke saath
munfa'il kartā hai bismil vo junūñ ko 'aql se
koī farzāna jo ho jaatā hai dīvānoñ ke saath
jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath
sarf-e-gardish kar diya saqi ne paimanon ke sath
husn bhi kambaKHt kab KHali hai soz-e-ishq se
sham' bhi to raat-bhar jalti hai parwanon ke sath
roz mai-KHwaron ki qismat ke sitare sham se
jagmaga uThte hain jag uThte hain mai-KHanon ke sath
gardish-e-gardun KHalal-andaz mai-KHana ho kya
waqt rahta hai yahan gardish mein paimanon ke sath
'aql apnon se bhi aksar bach ke chalti hai zara
'ishq hi kambaKHt ho jata hai beganon ke sath
kis qadar KHush-fahm the jo log agle waqt mein
masjiden banwa diya karte the but-KHanon ke sath
ta-na-bashad chiz ke mardum na-goyad chiz-ha
kuchh haqiqat bhi hua karti hai afsanon ke sath
munfa'il karta hai bismil wo junun ko 'aql se
koi farzana jo ho jata hai diwanon ke sath
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 444)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.