jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun
jab kabhī dard ke māroñ kī taraf dekhtā huuñ
maiñ haqīqat meñ sitāroñ kī taraf dekhtā huuñ
Dūbtā huuñ to mujhe haath ka.ī milte haiñ
kitnī hasrat se kināroñ kī taraf dekhtā huuñ
chādareñ un ko mayassar haiñ magar mujh ko nahīñ
maiñ to sardī meñ mazāroñ kī taraf dekhtā huuñ
kyoñ ravānī liye aayā hai yahāñ par dariyā
fikr hotī hai savāroñ kī taraf dekhtā huuñ
ab mire ghar se kahāñ chāñd dikhā.ī degā
maiñ ye hasrat liye tāroñ kī taraf dekhtā huuñ
haañ musībat koī aa jaa.e achānak mujh par
to kahīñ bhī nahīñ yāroñ kī taraf dekhtā huuñ
jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun
main haqiqat mein sitaron ki taraf dekhta hun
Dubta hun to mujhe hath kai milte hain
kitni hasrat se kinaron ki taraf dekhta hun
chadaren un ko mayassar hain magar mujh ko nahin
main to sardi mein mazaron ki taraf dekhta hun
kyon rawani liye aaya hai yahan par dariya
fikr hoti hai sawaron ki taraf dekhta hun
ab mere ghar se kahan chand dikhai dega
main ye hasrat liye taron ki taraf dekhta hun
han musibat koi aa jae achanak mujh par
to kahin bhi nahin yaron ki taraf dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.