jab kabhi dard ki taswir banane nikle
jab kabhī dard kī tasvīr banāne nikle
zaḳhm kī tah meñ ka.ī zaḳhm purāne nikle
chain miltā hai tire shauq ko puurā kar ke
varna ai laḳht-e-jigar kaun kamāne nikle
vaqt kī gard meñ paivast the sab zaḳhm mire
jab chalī tez havā laakh fasāne nikle
ye kisī taur bhī allāh ko manzūr nahīñ
ki tū ehsān kare aur jatāne nikle
pahle nafrat kī vo dīvār girā.e 'ahyā'
phir mohabbat kā nayā shahr basāne nikle
jab kabhi dard ki taswir banane nikle
zaKHm ki tah mein kai zaKHm purane nikle
chain milta hai tere shauq ko pura kar ke
warna ai laKHt-e-jigar kaun kamane nikle
waqt ki gard mein paiwast the sab zaKHm mere
jab chali tez hawa lakh fasane nikle
ye kisi taur bhi allah ko manzur nahin
ki tu ehsan kare aur jatane nikle
pahle nafrat ki wo diwar girae 'ahya'
phir mohabbat ka naya shahr basane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.