jab kabhi hadsat ne mara
jab kabhī hādsāt ne maarā
yuuñ lagā kā.enāt ne maarā
vo jo mansūr kī adā Thahrī
us ko iz.hār-e-zāt ne maarā
log duniyā kā ġham uThāte haiñ
ham ko chhoTī sī baat ne maarā
ham na muñh pher kar guzar paa.e
chand lamhoñ ke saat ne maarā
din to kaT hī gayā thā un kā magar
kam-nasīboñ ko raat ne maarā
maut kā dam sabā ġhanīmat hai
varna pal pal hayāt ne maarā
jab kabhi hadsat ne mara
yun laga kaenat ne mara
wo jo mansur ki ada Thahri
us ko izhaar-e-zat ne mara
log duniya ka gham uThate hain
hum ko chhoTi si baat ne mara
hum na munh pher kar guzar pae
chand lamhon ke sat ne mara
din to kaT hi gaya tha un ka magar
kam-nasibon ko raat ne mara
maut ka dam saba ghanimat hai
warna pal pal hayat ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.