jab kabhi KHubi-e-qismat se tujhe dekhte hain
jab kabhī ḳhūbī-e-qismat se tujhe dekhte haiñ
ā.ina-ḳhāne kī hairat se tujhe dekhte haiñ
vo jo pāmāl-e-zamāna haiñ mire taḳht-nashīñ
dekh to kaisī mohabbat se tujhe dekhte haiñ
kāsa-e-dīd meñ bas ek jhalak kā sikka
ham faqīroñ kī qanā'at se tujhe dekhte haiñ
tere jaane kā ḳhayāl aatā hai ghar se jis dam
dar-o-dīvār kī hasrat se tujhe dekhte haiñ
tere kūche meñ chale jaate haiñ qāsid ban kar
aur aksar usī sūrat se tujhe dekhte haiñ
kah ga.ī bād-e-sabā aaj tire kaan meñ kyā
phuul kis darja sharārat se tujhe dekhte haiñ
tujh ko kyā 'ilm tujhe hārne vaale kuchh log
kis qadar saḳht nadāmat se tujhe dekhte haiñ
jab kabhi KHubi-e-qismat se tujhe dekhte hain
aaina-KHane ki hairat se tujhe dekhte hain
wo jo pamal-e-zamana hain mere taKHt-nashin
dekh to kaisi mohabbat se tujhe dekhte hain
kasa-e-did mein bas ek jhalak ka sikka
hum faqiron ki qana'at se tujhe dekhte hain
tere jaane ka KHayal aata hai ghar se jis dam
dar-o-diwar ki hasrat se tujhe dekhte hain
tere kuche mein chale jate hain qasid ban kar
aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain
kah gai baad-e-saba aaj tere kan mein kya
phul kis darja shararat se tujhe dekhte hain
tujh ko kya 'ilm tujhe haarne wale kuchh log
kis qadar saKHt nadamat se tujhe dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.