jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
jab kabhī kisī gul par ik zarā nikhār aayā
kam-nigāh ye samjhe mausam-e-bahār aayā
husn o 'ishq donoñ the be-karāñ o be-pāyāñ
dil vahāñ bhī kuchh lamhe jaane kab guzār aayā
us ufuq ko kyā kahiye nuur bhī dhuñdalkā bhī
bār-hā kiran phūTī bār-hā ġhubār aayā
ham ne ġham ke māroñ kī mahfileñ bhī dekhīñ haiñ
ek ġham-gusār uThā ek ġham-gusār aayā
ārzū-e-sāhil se ham kinārā kyā karte
jis taraf qadam uTThe bahr-e-be-kanār aayā
yuuñ to saikḌoñ ġham the par ġham-e-jahāñ 'jazbī'
baa'd ek muddat ke dil ko sāzgār aayā
jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya
husn o 'ishq donon the be-karan o be-payan
dil wahan bhi kuchh lamhe jaane kab guzar aaya
us ufuq ko kya kahiye nur bhi dhundalka bhi
bar-ha kiran phuTi bar-ha ghubar aaya
hum ne gham ke maron ki mahfilen bhi dekhin hain
ek gham-gusar uTha ek gham-gusar aaya
aarzu-e-sahil se hum kinara kya karte
jis taraf qadam uTThe bahr-e-be-kanar aaya
yun to saikDon gham the par gham-e-jahan 'jazbi'
ba'd ek muddat ke dil ko sazgar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.